mujh ko na dil pasand na dil ki ye KHu pasand
pahlu se mere jae dil-e-arzu-pasand
tujh ko adu pasand hai waz-e-adu pasand
mujh ko ada pasand teri mujh ko tu pasand
roz-e-azal the Dher hazaron lage hue
chupke se chhanT lae dil-e-arzu-pasand
tum ne to aastin ke siwa hath bhi range
aaya shahid-e-naz ka itna lahu pasand
ai dil teri jagah shikan-e-zulf mein nahin
KHu bu teri pasand na kafir ko tu pasand
pahuncha jo main to dhum machi bazm-e-yar mein
aae hain aaj ek baDe aarzu-pasand
masjid mein zarf-e-ab na tha koi le chale
aaya jo mai-kade mein achhuta subu pasand
jannat ki hur jaise koi meri qabr par
ai shama is tarah mujhe aai hai tu pasand
aata pasand kash kuchh un ka kalam bhi
bazm-e-suKHan mein aae kai KHush-gulu pasand
ho aks aaine mein tera ya ho koi aur
aaya hai ek hasin tere ru-ba-ru pasand
din mein shabab ke wo bhare hain shabab mein
maski hui qaba mein nahin hai rafu pasand
mera mazaq aur hai mujh ko to ai kalim
parde ke sath dur se hai guftugu pasand
mai ka na mai-kade ka nahin kuchh rahega hosh
aae KHuda kare na koi KHub-ru pasand
kis tarah us ne roke milaya hai KHak mein
aaya na aankh ko bhi hamara lahu pasand
kuchh shauq hai to ahl-e-KHarabaat se milo
ai sufiyo nahin ye hamein haw-hu pasand
aaega mai-kasho bat-e-mai ka shikar yaad
jannat mein aa gai jo koi aab-ju pasand
sau bar sar se shaiKH ke Takra chuke jise
hum ko to mai-kade mein wahi hai subu pasand
jab pi laga ke munh dam-e-iftar rind ne
botal ke munh ki aai farishton ko bu pasand
ho jaun main bhi gum kahin teri talash mein
teri tarah mujhe hai teri justuju pasand
ye kaun hain 'riyaz' hain ruswa-e-ku-e-yar
aae hain aaj ban ke baDe aabru-pasand
Ghazal
Mujhko na dil pasand na dil ki ye KHu pasand
Riyaz Khairabadi