mujh ko muaf kijiye rind-e-KHarab jaan ke
aankhon pe honT rakh diye jam-e-sharab jaan ke
hashr mein ai KHuda na le mujh se hisab-e-KHair-o-shar
main ne to sab bhula diya raat ka KHwab jaan ke
waqt ne az-rah-e-karam baKHsha tha mujh ko taj-e-zar
main ne hi KHud jhaTak diya sar ka azab jaan ke
munsif-e-waqt aaKHirash tujh ko bhi chup si lag gai
mera sawal puchh ke un ka jawab jaan ke
aap ko gar na yaad ho apni jafaon ka shumar
dekhiye mujh ko ghaur se fard-e-hisab jaan ke
apni zaban se kis tarah qissa-e-gham bayan karun
paDhiye meri nigah ko dil ki kitab jaan ke
ye to na kahiye waqt-e-did sab thi KHata nasim ki
aap ne ru-e-naz pe Dali naqab jaan ke
Ghazal
Mujhko muaf kijiye rind-e-KHarab jaan ke
Naushad Ali