mujh ko mat chhuna ki ris kar phuTne wala hun main
tujh ko kya malum tere tanz ka chhaala hun main
aaj zehnon mein hun lekin kal ka andesha hun main
darmiyan donon ke gir kar TuTta rishta hun main
aaDi-tirchhi si lakiren khinchta hun aur phir
us ko har manzar mein rakh kar rang bhar deta hun main
wo to yun KHush hai samajhta hai ki main tairak hun
us ko kya malum KHud hi Dubne wala hun main
apni gul-poshi pe main nadim bhi hun sarshaar bhi
haar kar jita hun jaane jit kar haara hun main
Ghazal
Mujhko mat chhuna ki ris kar phuTne wala hun main
Raunaq Raza