mujh ko marne ki koi ujlat na thi
KHud se milne ki koi surat na thi
dekhte kya husn ki nairangiyan
aankh jhapkane ki bhi fursat na thi
KHud-ba-KHud ye zaKHm lau dene lage
mujh ko koi hajat-e-shohrat na thi
uTh raha hai dil se aahon ka dhuan
mahfil-e-shab mahfil-e-ishrat na thi
peD patte jal ke KHakistar hue
dosto wo barish-e-rahmat na thi
apne chehre ajnabi hote gae
un ki aaankhon mein koi hairat na thi

Ghazal
Mujhko marne ki koi ujlat na thi
Hamidi Kashmiri