mujh ko manzar ke sile mein wo sada bhejta hai
KHub wo qarz mera kar ke ada bhejta hai
sarparasti bhi wo karta hai zabardasti se
dard karta hai ata aur dawa bhejta hai
mere dushman ki hai talwar meri gardan par
aur tu hai ki mujhe harf-e-dua bhejta hai
sanp jab jhuT ke duniya mein bahut ho jaen
dast-e-musa mein KHuda sach ka asa bhejta hai
'aftab' us ne parakhna ho kisi ko to agar
wo ghani karta hai aur dar pe gada bhejta hai
Ghazal
Mujhko manzar ke sile mein wo sada bhejta hai
Aftab Ahmad Shah