mujh ko majbur-e-sar-kashi kahiye
aap andhere ko raushni kahiye
un se bachhDa to is azab mein hun
maut kahiye ki zindagi kahiye
sar-e-sahil bhi log pyase hain
is ko aashob-e-tishnagi kahiye
kyun tajahul ko aarifana kahun
mere chehre ko ajnabi kahiye
chaar din ki hai chandni lekin
chandni hai to chandni kahiye
maut bhi zindagi ka ek ruKH hai
is ko mear-e-agahi kahiye
gham se hum be-maza nahin hote
lazzat-e-gham ko chashni kahiye
mujh ko baKHshi hai
dost ki banda-parwari kahiye
jalta-bujhta ye kirmak-e-shab-tab
us ko pur-kar-e-sadgi kahiye
mujh ko muD muD ke dekhne wale
kya ise tarz-e-be-ruKHi kahiye
dhup mein sath sath saya hai
raushni mein bhi tirgi kahiye
rahbari bhi hai ham-rakab-e-uruj
us ko faizan-e-KHud-rawi kahiye

Ghazal
Mujhko majbur-e-sar-kashi kahiye
Urooj Zaidi Badayuni