mujh ko malum tha main aur sanwar jaunga
ghar se niklunga to har samt bikhar jaunga
raaz maujon ke samundar ne batae hain mujhe
yahan Dubunga kahin aur ubhar jaunga
abhi sustaunga kuchh der isi dorahe par
baad mein sochunga dekhunga kidhar jaunga
main to barzaKH ke andheron mein jalaunga charagh
main nahin wo ki jo maut aai to mar jaunga
zindagi yun tujhe rahne nahin dunga be-rang
teri taswir mein kuchh rang to bhar jaunga
main hun dariya hai rawani meri daim 'betab'
koi sailab nahin hun ki utar jaunga

Ghazal
Mujhko malum tha main aur sanwar jaunga
Pritpal Singh Betab