اردو हिंदी
Mujhko kabhi bhi un se shikayat hui nahin | Shaahi Shayari
mujhko kabhi bhi un se shikayat hui nahin

Ghazal

Mujhko kabhi bhi un se shikayat hui nahin

Kavita Kiran

;

mujh ko kabhi bhi un se shikayat hui nahin
shayad isi liye to mohabbat hui nahin

ghairon se mehrbani ki ummid kya karen
hum par to aap ki bhi inayat hui nahin

wo log kuche kuche bhaTakne lage hain aaj
jin ko KHud apne ghar se bhi chahat hui nahin

hum hi to the jo waqt pe hi kaam aa gae
achchha hua ki hum se adawat hui nahin

main ne kabhi kisi ka dukhaya nahin hai dil
mujh ko kabhi kisi se nadamat hui nahin

tufan-e-baad-o-baran mein sab bah gaya 'kiran'
barsat ab ki bais-e-rahmat hui nahin