mujh ko jo kahte ho myan tum ho kahan tum ho kahan
dil kahan hai pas mere meri jaan tum ho kahan
wo gali hai ya pari-KHana hai ya firdaus hai
sach kaho ai hamdamo main hun kahan tum ho kahan
apne se apna na ho kaam auron se rakhiye umid
kya wasiyyat karte ho ai dostan tum ho kahan
gul khilenge bar bar aur aaegi hir-phir bahaar
hai hamesha sair-e-gulzar-e-jahan tum ho kahan
jab jawani gai raha kya aana jaana sab gaya
aao jaane do wo baaten ai miyan tum ho kahan
dekhne ka chaw ye ainak utarti hi nahin
dekho tum apni taraf ai mehrban tum ho kahan
puchhte hain haal to munh dekh rahte ho 'raza'
dil kahin aur hi hai sunte ho miyan tum ho kahan
Ghazal
Mujhko jo kahte ho myan tum ho kahan tum ho kahan
Raza Azimabadi

