mujh ko jahan mein koi dil-ara nahin mila
main KHud bhi apne gham ka shanasa nahin mila
apni talab ke apni gharaz ke mile hain log
meri talab ko dekhne wala nahin mila
phirta raha hun ku-e-wafa mein tamam umr
lekin kahin bhi koi shanasa nahin mila
mere uyub par rahi har shaKHs ki nigah
koi hunar ko dekhne wala nahin mila
KHanjar-ba-kaf to log mile har jagah magar
marham-ba-dast koi masiha nahin mila
ye bhi hua ki main ne jo socha nahin hua
ye bhi hua ki dil ne jo chaha nahin mila
milne gae the raat ko 'shaukat' se hum magar
tha wo hujum-e-fikr mein tanha nahin mila
Ghazal
Mujhko jahan mein koi dil-ara nahin mila
Shaukat Pardesi