mujh ko gharib aur qaraz-dar dekh kar
mujh se wo dur hai mujhe be-kar dekh kar
paidal hamein jo dekh ke katraate the kabhi
ab lift mangte hain wahi kar dekh kar
ushshaq sare mar gae un ke to dekhiye
pachhta rahe hain ab hamein bimar dekh kar
ab rahnumai karne se katra rahe hain sab
mashhur rahna ko sar-e-dar dekh kar
kal raat us ne baji bhi mashuq ko kaha
us ghar mein us ki amma ko bedar dekh kar
muflis tha jab gali mein bhi ghusne nahin diya
ab rishta de rahe hain wahi kar dekh kar
jab tum hasin the to kabhi baat tak na ki
ab ro rahe ho zof ke aasar dekh kar
nikla singhaar-KHane se tu ban sanwar ke yun
main Dar gaya tha kal tujhe ai yar dekh kar
achchha hai koi to kare aapas mein tank-jhank
kyun jal raha hai be-wajh tu pyar dekh kar
'wamiq' kabhi to hum bhi bahut hi sharif the
bigDa hai ye mizaj w-c-r dekh kar
Ghazal
Mujhko gharib aur qaraz-dar dekh kar
Ghulam Mohammad Vamiq