اردو हिंदी
Mujhko dimagh-e-garmi-e-bazar hai kahan | Shaahi Shayari
mujhko dimagh-e-garmi-e-bazar hai kahan

Ghazal

Mujhko dimagh-e-garmi-e-bazar hai kahan

Talib Chakwali

;

mujh ko dimagh-e-garmi-e-bazar hai kahan
afsurdagi mein lazzat-e-guftar hai kahan

yaran-e-maslahat mein nahin jauhar-e-wafa
ahl-e-gharaz mein KHubi-e-kirdar hai kahan

lakhon ki bhiD mein bhi hun sab se alag-thalag
is shahr mein gharib ka gham-KHwar hai kahan

jalwon ko bhi hai chashm-e-tamasha ki justuju
wo puchhte hain talib-e-didar hai kahan

kanTon mein aa gai hai gul-e-tar ki tazgi
ab lutf-e-sair-e-wadi-e-pur-KHar hai kahan

nakaamiyon ki dhup mein jalte hain dil-jale
sahra-e-gham mein saya-e-diwar hai kahan

shauq-e-husul-zar hai to zauq-e-suKHan na rakh
nur-e-sahar kahan hai shab-e-tar hai kahan

dilli ki bhiD-bhaD mein gum ho gaya hai dil
tanha bhaTak raha hun dil-e-zar hai kahan

'talib' gham-e-hayat ne jina sikha diya
ab zindagi ka bar mujhe bar hai kahan