mujh ko dekha na baat ki koi
ye bhi aaKHir ada hui koi
muskurana bhi kya ghazab hai tera
jaise bijli chamak gai koi
kab se hun zindagi ke sahra mein
chhanw ab to mile ghani koi
ek shab aur do hon mah-e-tamam
aae phir aisi ek ghaDi koi
dil ko chhune se jo rahe qasir
wo bhi 'qaisar' hai shairi koi

Ghazal
Mujhko dekha na baat ki koi
Qaisar Usmani