mujh ko daulat mili tere gham ki
kya haqiqat hai ab do-alam ki
main ne gardan jahan jahan KHam ki
ek tajalli hai nur-e-paiham ki
husn zinat hai ahd-e-mubham ki
ishq hurmat hai naqsh-e-mohkam ki
nala pahuncha ba-hadd-e-KHamoshi
intiha hai junun ke aalam ki
kyun na waqif hon raaz-e-hasti se
mujh ko hasil hai marifat gham ki
jo tha mazhar wahi bana parda
raaz-dari ye tere mahram ki
tur-e-dil par hai nur ki barish
kitni azmat hai chashm-e-pur-nam ki
un ke partaw ka nur hain donon
ek hasti hai mahr o shabnam ki
sab ko hairat hai do-jahan manga
mujh ko hasrat ki aarzu kam ki
kar raha hun dua ki dard baDhe
fikr karta hun roz marham ki
dil KHuda se laga 'bashir' ab tu
pai barkat hai ism-e-azam ki
Ghazal
Mujhko daulat mili tere gham ki
Syed Bashir Husain Bashir