mujh ko be-KHwabi ki Tahni par sisakte dekhta rahta hai wo
apni hi be-dardiyon ko yun mahakte dekhta rahta hai wo
surat-e-mahtab rahta hai mere sar par safar ke sath sath
mujh ko sahra ki udasi mein bhaTakte rahta hai wo
peD ki surat khaDa rahta hai meri mauj ki sarhad ke pas
mere sar par dhup ke neze chamakte dekhta rahta hai wo
raat thak kar aan girta hai mere jalte badan ki aanch par
apne aansu mere galon par Dhalakte dekhta rahta hai wo
main wo bosida sa pairahan hun jo pahna gaya tha ek bar
mujh ko mahrumi ki khunTi par laTakte dekhta rahta hai wo
meri hi majburiyon ke zikr se 'nasik' rulata hai mujhe
samne apne nae jugnu damakte dekhta rahta hai wo
Ghazal
Mujhko be-KHwabi ki Tahni par sisakte dekhta rahta hai wo
Nisar Nasik