اردو हिंदी
Mujhko auron se koi shikwa nahin | Shaahi Shayari
mujhko auron se koi shikwa nahin

Ghazal

Mujhko auron se koi shikwa nahin

Alqama Shibli

;

mujh ko auron se koi shikwa nahin
main ne bhi to KHud ko pahchana nahin

sar pe aa pahuncha hai suraj karb ka
sath apne saya bhi apna nahin

shauq-e-manzil hi hai mera KHizr-e-rah
naqsh-e-pa har moD par milta nahin

ho gaya KHun-e-hayat ab yun safed
jaise mera is se kuchh rishta nahin

hai KHayal-e-KHam wo main ne jise
pairahan alfaz ka baKHsha nahin

ab hai chehron par naqab-e-maslahat
koi chehra dil ka aaina nahin

kyun na ho shoala-ba-daman zindagi
kis taraf ab aag ka dariya nahin

phul ki ek pankhuDi kahiye use
zindagi ek barg-e-awara nahin

zehn-e-'shibli' mein hai us ki gunj bhi
waqt ke honTon pe jo naghma nahin