mujh ko aur kahin jaana tha
bas yunhi rasta bhul gaya tha
dekh ke tere des ki rachna
main ne safar mauquf kiya tha
kaisi andheri sham thi us din
baadal bhi ghar kar chhaya tha
raat ki tufani barish mein
tu mujh se milne aaya tha
mathe par bundon ke moti
aankhon mein kajal hansta tha
chandi ka ek phul gale mein
hath mein baadal ka TukDa tha
bhige kapDe ki lahron mein
kundan sona damak raha tha
sabz pahaDi ke daman mein
us din kitna hangama tha
barish ki tirchhi galiyon mein
koi charagh liye phirta tha
bhigi bhigi KHamoshi mein
main tere ghar tak sath gaya tha
ek tawil safar ka jhonka
mujh ko dur liye jata tha
Ghazal
Mujhko aur kahin jaana tha
Nasir Kazmi