muhit-e-rahmat hai josh-afza hui hai abr-e-saKHa ki aamad 
KHuda ki har chiz kah rahi hai ki ab hai nur-e-KHuda ki aamad 
falak ko hai aarzu ki jhuk kar main apne tare karun nichhawar 
hui hai makka ki sar-zamin pe ye aaj kis mah-laqa ki aamad 
har ek muhib par ye fazl-e-rab hai asar ko nalon ki KHud talab hai 
magar us altaf ka sabab hai habib-e-rabb-ul-alal ki aamad 
'hijab' paiham ye kah raha hai gunahgaron ne josh-e-rahmat 
mubarak ai aasiyo mubarak shafi-e-roz-e-jaza ki aamad
 
        Ghazal
Muhit-e-rahmat hai josh-afza hui hai abr-e-saKHa ki aamad
Anwari Jahan Begum Hijab

