اردو हिंदी
Muhasba kiya na jae isMein kis ka kya gaya | Shaahi Shayari
muhasba kiya na jae isMein kis ka kya gaya

Ghazal

Muhasba kiya na jae isMein kis ka kya gaya

Khursheed Ahmad Malik

;

muhasba kiya na jae is mein kis ka kya gaya
na mujh se hi raha gaya na us se kuchh saha gaya

ye dil se dil ka wasta bhi kitna dil-fareb hai
jagi hai dil mein raushni ki tera dard bha gaya

ye kis ke naqsh-e-pa pe sab ne eatibar kar liya
ye kaun pesh-rau bana ki rasta bana gaya

nazar mila ke us se meri baat tak nahin hui
mere muamle mein jaane kaun kya laga gaya

abhi bhi meri jeb mein hai raushni bachi hui
andhera kis umid par mere qarib aa gaya

ye nil mujh se kah raha hai tanz ki zaban mein
wahan pe ja sada laga jahan tera asa gaya

mujhe pata nahin malak ki kis maqam par hun main
zaban se jo nikal gai use adab likha gaya