mufassal dastanen muKHtasar kar ke dikhaenge
tawalat umr bhar ki jast bhar kar ke dikhaenge
jo sapne dekh rakkhe hain jahan-e-dida-e-wa ne
unhen tabir ke zer-e-asar kar ke dikhaenge
ye wo nam-nakiyan hain jo hawa dengi alaw ko
ye wo aansu hain jo KHud ko sharar kar ke dikhaenge
bharosa rah gaya kuchh KHak ko hum par agar to hum
fana ke samne jiwan basar kar ke dikhaenge
talaffuz par na ho mauquf jab kuchh to maani ko
kisi ke lafz kya zer-o-zabar kar ke dikhaenge
ye baadal kya dikhaenge hawa ko mushtail ho kar
ye patte peD ko kya dar-ba-dar kar ke dikhaenge
ijaza ho gaya mojaz-bayani ka to hum tere
isi tuKHm-e-tahayyur ko shajar kar ke dikhaenge
agar patal ban jaega us ki tah mein utrenge
agar choTi banega us ko sar kar ke dikhaenge
guman jo os ke qatron ki surat hain abhi 'KHawar'
kisi din wo tumhein KHud ko bhanwar kar ke dikhaenge
Ghazal
Mufassal dastanen muKHtasar kar ke dikhaenge
Khaavar Jilani