muddaton ye soch kar tanhai mein taDpa kiye
ho gae hum se juda wo aur hum dekha kiye
ek lamhe mein jo kar baiThe hain diwane tere
log sadiyon us ki la-mahdudiyat samjha kiye
kaamyabi apne hisse mein kabhi thi hi nahin
hum ne nakaami se apne raste paida kiye
bewafai us ki mere sath mat shamil karo
jurm hum ne ishq mein jitne kiye tanha kiye
hath lagte hi bikhar jata hai jin ka shoKH rang
umr bhar in titliyon ki khoj mein bhaga kiye

Ghazal
Muddaton ye soch kar tanhai mein taDpa kiye
Mushtaq Naqvi