اردو हिंदी
Muddaton mein ghar hamare aaj yar aa hi gaya | Shaahi Shayari
muddaton mein ghar hamare aaj yar aa hi gaya

Ghazal

Muddaton mein ghar hamare aaj yar aa hi gaya

Siddiq ahmad Nizami

;

muddaton mein ghar hamare aaj yar aa hi gaya
zulm karta tha magar zalim ko pyar aa hi gaya

hijr ki raaten kaTin tare gine jaga kiye
wasl ke lamhe mile aaKHir qarar aa hi gaya

wahm the meri taraf se bad-gumani thi unhen
meri fitrat dekh ke ab e'tibar aa hi gaya

main ne mana aarzi hain wasl ki ghaDiyan magar
chand lamhon ke liye daur-e-bahaar aa hi gaya

hum ko pine se gharaz kya ye sharab-e-zahiri
in ki nazren jab uThin mujh ko KHumar aa hi gaya

ai 'nizami' dafatan un ki nigahen uTh gain
pyar wo karte na the be-iKHtiyar aa hi gaya