muddaton ke baad jab pahuncha wo apne ganw mein
jhurriyan chehre pe thin aur aable the panw mein
ab to shayad gir gaya hoga wo pipal ka daraKHt
bachpane mein hum mila karte the jis ki chhanw mein
kaun aaega meri dahliz pe barson ke baad
aaj hum phir kho gae kawwe ke kanw kanw mein
taki mujh pe shahr ki uryaniyan ghaalib na hon
apni aankhen chhoD aaya hun main apne ganw mein
ek samundar aankh mein tha maujzan 'talib' magar
umr-bhar hum tishna-lab bhaTka kiye sahraon mein
Ghazal
Muddaton ke baad jab pahuncha wo apne ganw mein
Ejaaz Talib