muddaton jo rahe bahaaron mein
aaj wo ghir gae hain kanTon mein
main ki sahra-naward hun lekin
parwarish chahta hun phulon mein
aks tera dikhai deta hai
bahte pani ki naram lahron mein
khul gae KHwahishon ke darwaze
phir bhi koi nahin hai banhon mein
jo mahakte hain KHushbuon ki tarah
lams tera hai un gulabon mein
kar-farma dikhai deta hai
mera ehsas mere jazbon mein
aaj hum se bichhaD gaya 'aKHtar'
tazkira ho raha tha logon mein
Ghazal
Muddaton jo rahe bahaaron mein
Akhtar Saeedi