اردو हिंदी
Muddaton baad hum kisi se mile | Shaahi Shayari
muddaton baad hum kisi se mile

Ghazal

Muddaton baad hum kisi se mile

Makhmoor Saeedi

;

muddaton baad hum kisi se mile
yun laga jaise zindagi se mile

is tarah koi kyun kisi se mile
ajnabi jaise ajnabi se mile

sath rahna magar juda rahna
ye sabaq hum ko aap hi se mile

zikr kanTon ki dushmani ka nahin
zaKHm phulon ki dosti se mile

un ka milna bhi tha na milna sa
wo mile bhi to be-ruKHi se mile

dil ne majbur kar diya hoga
jis se milna na tha usi se mile

un andheron ka kya gila 'maKHmur'
wo andhere jo raushni se mile