muddat se hun main sar-KHush-e-sahba-e-shaeri
nadan hai jis ko mujh se hai dawa-e-shaeri
main lucknow mein zamzama-sanjaan-e-shahr ko
barson dikha chuka hun tamasha-e-shaeri
phabta nahin hai bazm-e-amiran-e-dahr mein
shaer ko mere samne ghaugha-e-shaeri
ek turfa KHar se kaam paDa hai mujhe ki hae
samjhe hai aap ko wo masiha-e-shaeri
hai shaeron ki ab ke zamane mein ye maash
phirte hain bechte hue kala-e-shaeri
leta nahin jo mol koi muft bhi use
KHiffat uTha ke aate hain ghar wae shaeri
ai 'mushafi' ze-gosha-e-KHalwat-burun KHiram
KHalist az-barae tu KHud ja-e-shaeri
har sifla-ra zaban-o-bayan-e-tu-kai rasad
aare tui fughani o baba-e-shaeri
majnun manam chira digare ranj mi burad
dar hissa-e-man aamada laila-e-shaeri

Ghazal
Muddat se hun main sar-KHush-e-sahba-e-shaeri
Mushafi Ghulam Hamdani