muddat se DhunDti hai kisi ki nazar mujhe
main kis maqam par hun nahin hai KHabar mujhe
aawargi uDae phiri misl-e-bu-e-gul
koi pukarta hi raha umr bhar mujhe
yun ja raha hun jaise na aaunga phir kabhi
muD muD ke dekhti hai teri rahguzar mujhe
kya jaane kis KHayal se chehra damak uTha
main chaara-gar ko dekhta hun chaara-gar mujhe
ahd-e-KHizan bahaar ki rut nam hain faqat
kya baat kah gai hai nasim-e-sahar mujhe
manzil pe aa ke 'shad' ajab hadisa hua
main ham-safar ko bhul gaya ham-safar mujhe

Ghazal
Muddat se DhunDti hai kisi ki nazar mujhe
Shaad amritsarii