muddat mein idhar phir wo gul-bar nazar aae
sahra mein bahaaron ke aasar nazar aae
kya raaz-e-mashiyyat tha hum aalam-e-hasti mein
majbur rahe lekin muKHtar nazar aae
masti-bhari aankhon se jab us ne hamein dekha
masrur nazar aae sarshaar nazar aae
dekhe hain mohabbat ke hum ne ye karishme bhi
ek bar chhupe gar wo sau bar nazar aae
phir mast ghaTa chhai phir paDne lagin bunden
phir jam-ba-kaf har-su mai-KHwar nazar aae
madhosh fazaon mein phir qaus-e-quzah damki
phir qamat-e-rangin ke anwar nazar aae
un mast nigahon ne KHud apna bharam khola
inkar ke parde mein iqrar nazar aae
hum baada-paraston ne chheDi jo hadis-e-mai
khulte hue duniya ke asrar nazar aae
har ruh mein dekhi hai ai 'naqsh' KHalish gham ki
har phul ke pahlu mein kuchh KHar nazar aae
Ghazal
Muddat mein idhar phir wo gul-bar nazar aae
Mahesh Chandra Naqsh