muddat ke baad munh se lagi hai jo chhuT kar
to ye bhi mai pe girti hai kya TuT TuT kar
mehndi tha mera KHun ki hota jo raegan
ek shab ke baad hath se qatil ke chhuT kar
pahla hi din tha hum ko kiye tark-e-mai-kashi
kya kya paDa hai raat ko meinh TuT TuT kar
sabr o qarar le ke diya dagh-e-arzu
aabaad tum ne dil ko kiya mujh ko luT kar
hairat hai mere aKHtar-e-baKHt-e-siyah ko
kyun kar gahan se chand nikalta hai chhuT kar
allah-re aansuon ka khaTakna firaq mein
aankhon mein bhar gaya koi almas kuT kar
Tapke nahin qalam ke faqat ashk nama par
wo kuchh likha ki roi siyahi bhi phuT kar
kar band-o-bast abhi se na gulshan mein baghban
wo din to ho ki murgh-e-qafas aaen chhuT kar
sad-haif sar-guzisht jo apni kahi 'jalal'
tu is ko dastan samajh sach ko jhuT kar
Ghazal
Muddat ke baad munh se lagi hai jo chhuT kar
Jalal Lakhnavi