اردو हिंदी
Muddat ke baad aisi sunai KHabar mujhe | Shaahi Shayari
muddat ke baad aisi sunai KHabar mujhe

Ghazal

Muddat ke baad aisi sunai KHabar mujhe

Manzar Lakhnavi

;

muddat ke baad aisi sunai KHabar mujhe
main nama-bar ko dekhta hun nama-bar mujhe

mahfil pe apni naz tumhein maut par mujhe
bas jao ab na dekhna kal se idhar mujhe

sau raaten ek hijr ki shab mein tamam kin
jab aankh band ki nazar aai sahar mujhe

sada waraq jawab mein ek la ke de gaya
diwana jaanta hai mera nama-bar mujhe

han thi kabhi tamiz siyah-o-safed mein
aur ab to jaisi sham hai waisi sahar mujhe

nawak kaman mein joD ke kahte hain naz se
han kaun kaun kahta hai bedad-gar mujhe

'manzar' ye shor-e-nauha gham-e-naza mein hai kyun
nakaamiyon ko rote hain ya chaara-gar mujhe