اردو हिंदी
Muddat hui us jaan-e-haya ne humse ye iqrar kiya | Shaahi Shayari
muddat hui us jaan-e-haya ne humse ye iqrar kiya

Ghazal

Muddat hui us jaan-e-haya ne humse ye iqrar kiya

Jaan Nisar Akhtar

;

muddat hui us jaan-e-haya ne hum se ye iqrar kiya
jitne bhi badnam hue hum utna us ne pyar kiya

pahle bhi KHush-chashmon mein hum chaukanna se rahte the
teri soi aankhon ne to aur hamein hoshiyar kiya

jate jate koi hum se achchhe rahna kah to gaya
puchhe lekin puchhne wale kis ne ye bimar kiya

qatra qatra sirf hua hai ishq mein apne dil ka lahu
shakl dikhai tab us ne jab aankhon ko KHun-bar kiya

hum par kitni bar paDe ye daure bhi tanhai ke
jo bhi hum se milne aaya milne se inkar kiya

ishq mein kya nuqsan nafa hai hum ko kya samjhate ho
hum ne sari umr hi yaro dil ka karobar kiya

mahfil par jab nind si chhai sab ke sab KHamosh hue
hum ne tab kuchh sher sunaya logon ko bedar kiya

ab tum socho ab tum jaano jo chaho ab rang bharo
hum ne to ek naqsha khincha ek KHaka tayyar kiya

desh se jab pardesh sidhaare hum par ye bhi waqt paDa
nazmen chhoDi ghazlen chhoDi giton ka bewpar kiya