اردو हिंदी
Muddat hui na mujhse mera rabta hua | Shaahi Shayari
muddat hui na mujhse mera rabta hua

Ghazal

Muddat hui na mujhse mera rabta hua

Zakir Khan Zakir

;

muddat hui na mujh se mera rabta hua
KHud ko talash karte hue gum-shuda hua

sab rahnuma hai kaun kisi aur ki sune
manzil se dur yun hi nahin qafila hua

aise mila wo aaj mujhe ajnabi laga
milna bhi jaise us ka koi saneha hua

lagti hai ab fuzul tere qurb ki dua
hona tha jab qarib tabhi fasla hua

main ne to bas kaha tha use jaanta hun main
phir shahr mein hum hi pe baDa tabsira hua

josh-e-junun mein chupke se shah-rag hi kaT li
kahne ko ko log kahte rahe hadisa hua

KHamosh do dilon mein kahin mel tha zarur
warna tha kya sabab ki juda rasta hua

'zakir' ye zindagi ki haqiqat sarab hai
jab aagahi mili to yahi tajraba hua