اردو हिंदी
Muddat hui hai madh-e-hasinan kiye hue | Shaahi Shayari
muddat hui hai madh-e-hasinan kiye hue

Ghazal

Muddat hui hai madh-e-hasinan kiye hue

Wahiduddin Saleem

;

muddat hui hai madh-e-hasinan kiye hue
nur-e-rasan se dil ko charaghan kiye hue

arsa hua hai wasf-e-bahaar-e-jamal se
ru-e-waraq ko rashk-e-gulistan kiye hue

barson hue hain tazkira-e-soz-e-ishq se
bazm-e-suKHanwari ko daraKHshan kiye hue

aata hai kis shikoh se wo rashk-e-aftab
zulmat-kade dilon ke charaghan kiye hue

jata hun ku-e-yar ko dekh ai ghaTa mujhe
barpa hujum-e-ashk se tufan kiye hue

baiThe hain hum tasawwur-e-gesu-e-yar mein
is zindagi ko KHwab-e-pareshan kiye hue

KHun kar ke le chala hun dil-o-jaan ko apne sath
didar-e-ru-e-yar ka saman kiye hue

mar miTiye us ada pe ki kuchh log jal-bujhe
sine mein soz-e-ishq ko pinhan kiye hue

wo nau-bahaar-e-husn abhi is rah se gaya
har naqsh-e-pa ko rauza-e-rizwan kiye hue