muddat ho gai saz-e-mohabbat khol de ab ye raaz
wo meri aawaz hain banhon mein un ki aawaz
kitni manazil tai kar aaya mera shauq-e-niyaz
ai nazron se chhupne wale ab to de aawaz
kyun har gam pe mera dil hai sajdon pe majbur
kya nazdik kahin hai teri jalwa-gah-e-naz
asl mein ek hi kaifiyyat ki do taswiren hain
tera kibr-o-naz ho ya ho mera jazb-e-niyaz
Ghazal
Muddat ho gai saz-e-mohabbat khol de ab ye raaz
Jagan Nath Azad