اردو हिंदी
Muddaa-o-arzu shauq-e-tamanna aap hain | Shaahi Shayari
muddaa-o-arzu shauq-e-tamanna aap hain

Ghazal

Muddaa-o-arzu shauq-e-tamanna aap hain

Abdul Mannan Tarzi

;

muddaa-o-arzu shauq-e-tamanna aap hain
kis ko kis ko main bataun mere kya kya aap hain

mai-kada saghar surahi aur sahba aap hain
jo kisi surat na utre aisa nashsha aap hain

jis pe karti hai mohabbat meri dawa aap hain
jis ka dil sham-o-sahar paDhta wazifa aap hain

ai meri jaan-e-ghazal shahr-e-wafa-o-shauq mein
meri azra aur salma meri nura aap hain

aap hain ai jaan-e-jaan mere suKHan ki aabru
sach to ye hai ki ghazal ka misra misra aap hain

aap ki zulfon ka main hi to nahin tanha asir
kar gai barbaad jo zahid ki taqwa aap hain

jazba-e-pakiza mere dil ka hain kuchh aap hi
meri chashm-e-shauq ka sara tamasha aap hain

ahd-e-piri mein ghazal 'tarzi' miyan aisi jawan
ishq mein kis ke bhala itne bhi ruswa aap hain