muddaa girya se kuchh ishq ka izhaar nahin
kya kahun tum se ki kahne mein dil-e-zar nahin
is mein kya zillat-e-yusuf sar-e-bazar nahin
samne tere koi us ka KHaridar nahin
ho gaya aaj se bas ilm-e-qiyafa baatil
sadgi se ye khula tha ki sitamgar nahin
sab tarah se to wo achchhe hain par achchhe kya hain
ek yahi aib hai kaisa ki wafadar nahin
talab-e-bosa-e-ruKHsar ko jaane dije
kaun si baat hai jis mein tumhein inkar nahin
yan ye manzur ki matlab ko zaban par laen
wan hai angusht labon par ki KHabar-dar nahin
puchhte puchhte aa jao mere ghar ki taraf
hai pata ye ki nishan-e-dar-o-diwar nahin
mere rone pe wo hans hans ke ye kahna tera
ki tunuk-zarf se chhupte kabhi asrar nahin
koi pis jae ki kaT jae bala se un ki
kuchh KHabar un ko kisi ki dam-e-raftar nahin
tar-e-anfas hain sine ke numayan warna
dekhne ko bhi gareban mein koi tar nahin
sach to ye hai ki hai 'mushtaq' adu se achchha
warna banda to kisi ka bhi taraf-dar nahin
Ghazal
Muddaa girya se kuchh ishq ka izhaar nahin
Munshi Bihari Lal Mushtaq Dehlwi