mubham taKHaiyyulat ke paikar tarashna
hai mashghala KHalaon mein manzar tarashna
laDna har ek lamha samundar se raat ke
aur KHwab ke jazire mein ek ghar tarashna
aankhon ko meri aap ne saunpa hai KHub kaam
jugnu uchhaalna kabhi gauhar tarashna
peshaniyon pe likhna KHud apna hamein nasib
hathon se apne apna muqaddar tarashna
paiham sulagti dhup mein jalna tamam din
shab-bhar hasin KHwabon ke paikar tarashna
kya KHub lutf dene lagi KHud-aziyyati
achchha laga KHud apna hamein sar tarashna
lahje ki narmiyon se 'qamar' mera rabta
un ko aziz tanz ke nashtar tarashna
Ghazal
Mubham taKHaiyyulat ke paikar tarashna
Qamar Sanbhali