moti nahin hun ret ka zarra to main bhi hun
dariya tere wajud ka hissa to main bhi hun
ai qahqahe bikherne wale tu KHush bhi hai
hansne ki baat chhoD ki hansta to main bhi hun
mujh mein aur us mein sirf muqaddar ka farq hai
warna wo shaKHs jitna hai utna to main bhi hun
us ki tu soch duniya mein jis ka koi nahin
tu kis liye udas hai tera to main bhi hun
ek ek kar ke Dubte tare bujha gae
mujh ko bhi Dubna hai sitara to main bhi hun
ek aaine mein dekh ke aaya hai ye KHayal
main kyun na us se kah dun ki tujh sa to main bhi hun
Ghazal
Moti nahin hun ret ka zarra to main bhi hun
Taimur Hasan