mom ke jismon wali is maKHluq ko ruswa mat karna
mishal-e-jaan ko raushan karna lekin itna mat karna
haq-goi aur wo bhi itni jina dubhar ho jae
jaisa kuchh hum karte rahe hain tum sab waisa mat karna
pichhle safar mein jo kuchh bita bit gaya yaro lekin
agla safar jab bhi tum karna dekho tanha mat karna
bhuk se rishta TuT gaya to hum behis ho jaenge
ab ke jab bhi qaht paDe to faslen paida mat karna
ai yaado jine do hum ko bas itna ehsan karo
dhup ke dasht mein jab hum niklen hum par saya mat karna
Ghazal
Mom ke jismon wali is maKHluq ko ruswa mat karna
Shahryar