mohtasib ne jo nikala hamein maiKHane se
dur tak aankh milate gae paimane se
aaj to KHum hi laga de mere munh se saqi
meri niyyat nahin bharti tere paimane se
aap itna to zara hazrat-e-naseh samjhen
jo na samjhe use kya faeda samjhane se
main ne chakkhi thi to saqi ne kaha joD ke hath
aap lillah chale jaiye maiKHane se
tum zara naseh-e-nadan ko dikha do jalwa
baz aata nahin zalim mujhe samjhane se
na uThe jaur kisi se to wo ro kar bole
be-maza ho gae hum 'ashk' ke mar jaane se
Ghazal
Mohtasib ne jo nikala hamein maiKHane se
Ashk Rampuri