اردو हिंदी
Mohtaj nahin qafila aawaz-e-dara ka | Shaahi Shayari
mohtaj nahin qafila aawaz-e-dara ka

Ghazal

Mohtaj nahin qafila aawaz-e-dara ka

Syed Yusuf Ali Khan Nazim

;

mohtaj nahin qafila aawaz-e-dara ka
sidhi hai rah-e-but-kada ehsan KHuda ka

gar hai sar-e-daryuza-e-faiz ahl-e-nazar se
ho rah-nashin marhala-e-faqr fana ka

KHush-nudi-e-mashuq hai ranjur hai aashiq
be-dard hai wo KHasta ki le nam dawa ka

is bagh ki nikhat ka hun mushtaq ki ho jae
jate hue dam band jahan baad-e-saba ka

koi nahin kahta ki ye kis ka hai karishma
ek shor hai isa ke dam-e-ruh-faza ka

jhaDen tere ushshaq use gard samajh kar
paD jae agar sar pe kabhi saya huma ka

tan fart-e-latafat se ho jab ruh-e-mujassam
kya zor chale kashmakash-e-band-e-qaba ka

kab kalbud-e-KHak mein ho itni nazakat
jo but hai wo putla hai magar naz-o-ada ka

yun qatl kare ghamza-e-dildar kahen kya
jauhar na kahen gar mizha ki tegh-e-qaza ka

kya dane ki KHwahish ki hai tasir ki jis se
hota hai guzar dam mein murghan-e-hawa ka

asrar haqiqat ka ho ashaar mein shaareh
kya hausla hai 'nazim'-e-ashufta-nawa ka