mohtaj-e-ajal kyun hai KHud apni qaza ho ja
ghairat ho to marne se pahle hi fana ho ja
ai shauq-e-talab baDh kar majnun-e-ada ho ja
ai himmat-e-mardana raazi-ba-raza ho ja
aaghosh-e-fana mein hum parwarda-e-afat hain
ai fitna-e-dauran uTh ai hashr bapa ho ja
zid aur ye zid ai dil achchha to KHuda-hafiz
qurban hi us but par hota hai to ja ho ja
us jaan-e-tamanna se be-parda na shikwa kar
wo tujh se KHafa hai to jine se KHafa ho ja
har qafla-e-dil ko tu muzhda-e-manzil de
har rahguzar-e-gham mein naqsh-e-kaf-e-pa ho ja
ye dard-e-mohabbat bhi kya shai hai maaz-allah
main dard-e-mohabbat se kahta hun siwa ho ja
zalim ka na shikwa kar zulmon ki na parwa kar
tu apni wafaon ki izzat pe fida ho ja
is hasti-e-fani se kar qat-e-nazar 'fani'
tu dost ka talib hai dushman se juda ho ja
Ghazal
Mohtaj-e-ajal kyun hai KHud apni qaza ho ja
Fani Badayuni