اردو हिंदी
Mohr ban kar jo main ek roz bhi ubhra hota | Shaahi Shayari
mohr ban kar jo main ek roz bhi ubhra hota

Ghazal

Mohr ban kar jo main ek roz bhi ubhra hota

Khaqan Khavar

;

mohr ban kar jo main ek roz bhi ubhra hota
barf ki tarah hai jo shaKHs wo dariya hota

tujh se dilkash hai kahin tere tasawwur ka jahan
tu mere pas bhi hota to main tanha hota

apne mahaul ko har phul ne mahkaya hai
mujh ko hona tha kisi ka to main apna hota

puchhta kaun hai sipi mein chhape moti ko
jo tere dil mein tha honTon pe bhi aaya hota

kis ne rakkha hai mere sar pe kaDi dhup mein hath
chhat jo hoti to mere ghar mein bhi saya hota

yun guzarta na tere sar se ye pani 'KHawar'
tu ne tufan ko uThte hi jo roka hota