mohlat na de zara bhi mujhe meri jaan khinch
main aarzu tamam hun apni kaman khinch
ek mahshar-e-jamal uTha toD de jumud
tir-e-nazar zamin se ta-asman khinch
main aa raha hun barsar-e-mauj-e-hawa-e-gul
tu lakh apne gird hisar-e-makan khinch
lamhat-e-be-aman bhi ghanimat hain pas aa
mauzu-e-digaran bhi na ab darmiyan khinch
wo lab-chashidni hain wo daman-kashidni
aae na gar yaqin to pae-imtihan khinch
'sahba' ye shahr-e-zist sadaon ka shahr hai
yani tanab-e-hasrat-e-husn-e-bayan khinch
Ghazal
Mohlat na de zara bhi mujhe meri jaan khinch
Sahba Waheed