mohabbaton mein koi tumhaara ye haal kar de to kya karoge
bula ke ghar mein wo nine-one-one ko kal kar de to kya karoge
green card us se le rahe ho magar natija bhi yaad rakhna
yahan ki kali tumhaare chehre ko lal kar de to kya karoge
ye main ne mana tumhaare hathon mein sang-e-marmar ki ungliyan hain
koi hasina jo kanch ka dil uchhaal kar de to kya karoge
jo tum paDosan ko apni biwi se chhup ke perfume de rahe ho
wo jutiyon se ye peshkash la-zawal kar de to kya karoge
zarina jab se baDi hui hai tum us ki zar-qurbati na puchho
uchhaal kar dene wale sake nikal kar de to kya karoge
qalam se katib ye likh raha hai dalil-e-subh-e-bahaar ho tum
dalil ki dal ko badal kar wo zal kar de to kya karoge
mushaeron main ulaT-palaT ke wo chaar ghazlen sunane walo
agar koi panchwin ghazal ka sawal kar de to kya karoge
Ghazal
Mohabbaton mein koi tumhaara ye haal kar de to kya karoge
Khalid Irfan