mohabbaton mein bhi mal-o-manal mangte hain
ye kaise log hain ajr-e-visal mangte hain
wabaal-e-jaan the shab-o-roz kal jo apne liye
guzar gae to wahi mah-o-sal mangte hain
samajh mein aaya nahin un ka muddaa kya hai
likhen jawab to phir wo sawal mangte hain
mohabbaton ki dukanen ujaDne wali hain
uruj dekh chuke hain zawal mangte hain
dil-o-dimagh ki ye KHosha-chiniyan dekho
tujhe ganwa ke tere KHadd-o-KHal mangte hain
kahin to bhul hui hai ki aaj tere liye
uruj mangne wale zawal mangte hain
wo tujh se karte hain meri shikayaten lekin
mujhi se wo tere KHwab-o-KHayal mangte hain
Ghazal
Mohabbaton mein bhi mal-o-manal mangte hain
Safdar Saleem Sial