mohabbaton mein bahut ras bhi hai miThas bhi hai
hamare jine ki bas ek yahi asas bhi hai
kabhi to qurb se bhi fasle nahin miTte
go ek umr se wo shaKHs mere pas bhi hai
kisi ke aane ka mausam kisi ke jaane ka
ye dil ki KHush bhi hai lekin bahut udas bhi hai
badan ke shahar mein aabaad ek darinda hai
agarche dekhne mein kitna KHush-libas bhi hai
ye jaante hain ki sab thak ke gir paDenge kahin
shikasta logon mein jine ki kitni aas bhi hai
wo us ka apna hi andaz hai bayan ka 'aman'
har ek hukm pe kahta hai iltimas bhi hai
Ghazal
Mohabbaton mein bahut ras bhi hai miThas bhi hai
Akhtar Amaan