mohabbaton ke pale kaise nafraton mein Dhale
ye soch soch ke hum shahr tera chhoD chale
isi KHayal se karta nahin par-afshani
mere paron ki ragaD se kahin falak na jale
ye kah rahi thi hasina tamash-binon se
jo aap log hain achchhe to hum bure hi bhale
hayat o maut kahani hai saebanon ki
kabhi falak ke tale hum kabhi zamin ke tale
tere firaq ke sadme qubul hain lekin
jafa ke baad chale to wafa ka daur chale
ye jaanashin-e-qamar meri dastaras mein nahin
diye ki mauj hai bujh kar jale jale na jale
ajab tariq se utra visal ka lamha
paDe hain jaan ke lale laga ke us ko gale
Ghazal
Mohabbaton ke pale kaise nafraton mein Dhale
Jan Kashmiri