mohabbaten jab shumar karna to sazishen bhi shumar karna
jo mere hisse mein aai hain wo aziyyaten bhi shumar karna
jalae rakkhungi subh tak main tumhaare raston mein apni aankhen
magar kahin zabt TuT jae to barishen bhi shumar karna
jo harf lauh-e-wafa pe likkhe hue hain un ko bhi dekh lena
jo raegan ho gain wo sari ibaraten bhi shumar karna
ye sardiyon ka udas mausam ki dhaDkanen barf ho gai hain
jab un ki yaKH-bastagi parakhna tamazaten bhi shumar karna
tum apni majburiyon ke qisse zarur likhna wazahaton se
jo meri aankhon mein jal-bujhi hain wo KHwahishen bhi shumar karna
Ghazal
Mohabbaten jab shumar karna to sazishen bhi shumar karna
Noshi Gilani