mohabbat rang de jati hai jab dil dil se milta hai
magar mushkil to ye hai dil baDi mushkil se milta hai
kashish se kab hai KHali tishna-kaami tishna-kaamon ki
ki baDh kar mauja-e-dariya lab-e-sahil se milta hai
luTate hain wo daulat husn ki bawar nahin aata
hamein to ek bosa bhi baDi mushkil se milta hai
gale mil kar wo ruKHsat ho rahe hain hae kya kahne
ye haalat hai ki bismil jis tarah bismil se milta hai
shahadat ki KHushi aisi hai mushtaq-e-shahadat ko
kabhi KHanjar se milta hai kabhi qatil se milta hai
wo mujh ko dekh kar kuchh apne dil mein jhenp jate hain
koi parwana jab sham-e-sar-e-mahfil se milta hai
KHuda jaane ghubar-e-rah hai ya qais hai laila
koi aaghosh khole parda-e-mahmil se milta hai
'jalil' us ki talab se baz rahna saKHt ghaflat hai
ghanimat jaaniye us ko ki wo mushkil se milta hai
Ghazal
Mohabbat rang de jati hai jab dil dil se milta hai
Jaleel Manikpuri